Deen-e-Islam ko mananay walay to bohat hain magar afsos k saath kehna perta hai k is ki rooh ko samajhnay walay bohat hi kam balkay na honay k braber hain....Islam hai kia?......well ye ek aisa question hai jis ka jawab 90% muslims ko maloom nahi...
Islam ko Allah ne deen-e-kamil kaha aur kyun kaha ye hum dekhtay hain..islam se pehle bhi aur baad mai bhi kayee mazahib aye. kuch ilhami thay aur kuch logon k apne banaye huwe..
magar koi bhi mazhab insani zindagi ka is terah ehata nahi kerta jaisa k deen-e-islam..
ab aap sochein gay k wo kaise...to wo aise k islam na sirf insan k mazhabi pehloo ka ehata kerta balkay us k siyasi,samaji,moasherti,moashi aur ikhlaqi pehloo ko bhi grift mai lata hai...
Islam sirf namaz,roza,zakat aur hajj per mushtamil nahi aur na hi islam mai gunah sirf chori,zina juwa aur sharab noshi hai ye to islam k mukhtalif pehloo hain.
Jab ek shakhs musalman hota hai to wo sab se pehle is baat ka iqrar kerta hai k Allah ek hai us k siwa koi mabood nahi aur hazrat Mohammad S.A.W Allah k rasool hain......Allah ek hai ka matlab hai Allah jaisa koi nahi na zaat mai na siffaat mai..kisi k paas us jaisi taqat nahi..hamara mushkil kusha wohi hai humara data wohi hai..sirf wohi hai jo dil ka bhaid bhi jaanta hai kisi aur se sawal kerna rawa nahi chahay wo Allah ka peghamber kyun na ho...Allah k rasoolon ki ata'at bhi wahan tak hai jahan tak Allah ka hukam hai...
Mujhe movie khuda ke liye dekhne ka ittefaq huwa...yaqeen maniye k us k kuch hissay dekh ker meri rooh kaanp uthi aur afsos bhi huwa agar to ye film kisi non-muslim ne banayee hoti to shaid itna afsos na hota magar afsos ki baat ye thi k ye movie na sirf ek muslim balkay ek pakistani ne banayee thi
is k controversial parts per ulma-e-karam ne fatway bhi diye....http://uk.youtube.com/watch?v=xNH1rFLly1E
mai koi alim nahi is liay mai koi fatwa denay nahi aai bas itna kehna chahti hoon...k Allah ne kuch cheezein hum per ferz ki hain ferz ka matlab hai k humein her haal mai un ko ada kerna hai un ki adaigi mai kisi kisam ki kotahi nahi honi chahiye
faraiz ada kernay se koi naik ya bad nahi ho jata...jaise ek shakhs namaz perhata hai...ab us ko qabool kerna ya na kerna Allah k haath hai wo namaz ada ker k naik nahi ho jata....isi terah roza,zakat,hajj bhi hain.... ye sab faraiz hain....
ab jahan tak chori,sharab,jhoot,juwa,maan baap ki nafermani aur zina ka taluq hai islam mai in ko gunnah tassawur kia jata hai....laikin in saari cheezon se to koi non-muslim bhi door ho sakta hai......phir ye kehna k mai ye ye kaam nahi kerta lehaza mai acha musalman hoon kia darust hai?
phir naiki kia hai?
naiki TAQWA hai...khof-e-khuda hai khud Allah ne quran mai naik banday ki ye tareef ferma di..
"aay insano haqiqat ye hai k hum ne tum ko ek merd aur aurat se peda kia.phir hum ne tum k qaumein aur qabeelay bana diya takay tum ek dossray se pehchanay jao.beshak Allah ki nazer mai ziada izzat wala wo hai jo ziada muttaqi hai beshak Allah her baat jananay wala aur poori terah se bakhabar hai."
(sorah Alhujarat ayat 13)
Hum Allah k banday hain humara khuda per sirf ye haq hai k hum uski ata'at kerein uski ibadat kerein jaisa k Allah ne fermaya
Aur nahi peda kia hum ne jinon aur insanon ko siwaye apni ibadat k liye.
(az zariyaat)
Phir kia hum apni takhleeq ka maqsad poora ker rahe hain...apni salahiaton ka ghalat istimal jo sirf khuda ki naemat hai kia jaiz hai?
Khuda k liay islam ki rooh ko samjho ...apni soch apnay khayal ki ru se islam ki masakh shuda tasveer dena kia kisi musalman ko zeba hai?
dunniya mai achay buray her terah k log hotay hain...jo islam ki rooh ko nahi samjahtya aisay ulma bhi hain aur jo islam ki haqiqi ki rooh ko pehchan ker us per amal pera hain aisay alim bhi hain to kyun is movie mai sirf ek makhsoos molvi tabqay ko pesh kia gaya???????
apna ferz aur haq pehchaniye...khuda se mohabbat ka haq ada kero.......
Aur khuda k liye khuda k naam per islam se ye mazaq band kero....
Saturday, June 28, 2008
Saturday, June 14, 2008
Band dareechay, sooni galyaan un-dekhey anjaney log
Kis nagri mein aa nikley hein sajid ham deewaney log
Aik hamhi na waqif thehrey roop nagar ki galyon say
Bhes badal kar milney waley sab janey pehchaney log
Din ko raat kahein so barhaq,subha ko sham kahein so khoob
Aap ki baat ka kehna hi kya, aap huay farzaney log
Shikwa kya aur kaisi shikayat,aakhir kuch bunyad to ho
Tum par mera haq hi kya hai, ham thehrey beganey log
Shehr kahan khali rehta hai, ye darya har dam behta hai
Aur bohat say mil jayein gay, ham aisey deewaney log
Suna hai usske ehd-e-wafa mein hawa bhi muft nahin milti
Un galyon mein har har saans pe bhartey hein jurmaney log
(Aitebar Sajid)
Kis nagri mein aa nikley hein sajid ham deewaney log
Aik hamhi na waqif thehrey roop nagar ki galyon say
Bhes badal kar milney waley sab janey pehchaney log
Din ko raat kahein so barhaq,subha ko sham kahein so khoob
Aap ki baat ka kehna hi kya, aap huay farzaney log
Shikwa kya aur kaisi shikayat,aakhir kuch bunyad to ho
Tum par mera haq hi kya hai, ham thehrey beganey log
Shehr kahan khali rehta hai, ye darya har dam behta hai
Aur bohat say mil jayein gay, ham aisey deewaney log
Suna hai usske ehd-e-wafa mein hawa bhi muft nahin milti
Un galyon mein har har saans pe bhartey hein jurmaney log
(Aitebar Sajid)
Subscribe to:
Posts (Atom)