Tuesday, March 13, 2012

Fazail-o-manqabat Hazrat Hassan-o-Hussain R.A

Hadith-e-Abu Hurairah R.A:

Aanhazrat s.a.w mumber per tashreef ferma thay aur Hazrat Hassan R.A aap k pehloo mai thay..Aap s.a.w kabhi logon ki teraf mutawajh hotay aur phir Hassan R.A ki teraf aur fermatay:
" Mera ye beta serdar hai aur umeed hai k Allah is k zariye musalmanon ki do jamaton mai sulah kerwa de ga"

(Hadith #3746)

Hadith-e-Usama bin Zaid R.A:

Nabi-e-kareem S.a.w inhein aur Hassan R.A ko pakkar ker ye dua kertay thay.
"Aay Allah mujhe in se Mohabbat hai tu bhi in se mohabbat rakh "

(Hadith # 3747)

Hadith-e-Anas bin Malik R.A :

Jab Hazrat Hussain R.A ka Ser Mubarak Ubaidallah ibn-e-Ziyad (Hakim-e-Basra) k paas laya gaya aur aik tasht mai rakh diya gaya to wo badbakht us per lakri marnay laga aur Aap R.A ki khoobsoorti k baray mai bhi kuch kaha( k mai ne is se ziada khoobsoorat chehra nahi dekha)
is per hazrat Anas R.a ne kaha k Hazrat Hussain R.a Rasool Allah s.a.w se sab se ziada mushabeh thay aur unhon ne wasma ka khizab istimal ker rakha tha.

(Akser logon mai ye ghalat fehmi payee jati hai k Hazrat Hussain R.A kay baray mai ye Alfaz Yazeed bin Moawiyah k hain)

(Hadith # 3748)

Hadith-e-Uqba bin Haris R.A:

Mai ne Hazrat Abu Bakr R.A ko dekha k Aap Hazrat Hassan R.A ko uthaye huwe hain aur ferma rahay hain meray maan baap in per fida hon.Ye Nabi-e-kareem se mushabeh hain Ali se nahi.Aur Hazrat Ali R.A wahin muskura rahay thay.

(Hadith # 3750)

Hadith-e-Ibn-e-Umer R.A:

Abu Bakar R.A ne fermaya k nabi-e-kareem s.a.w ki khushnoodi Aap k Ahl-e-Bait k sath (Mohabbat aur Khidmat k) zariye talash kero.

(Yaad rahay k ye qaul Huzoor s.a.w ki teraf mansoob nahi..ye Hazrat Abu Bakar R.A ki zaati raaye bhi ho sakti hai..aur guman hai jaise aap ka koi qareebi aziz chala jata hai to aap us k aqraba se acha salook kernay ki koshish kertay hain takay us ki rooh ko sakoon milay bilkul usi khayal ko mad-e-nazar rakh ker ye baat ki gai hai Wallahu Aalam)

(Hadith #3752)

Hadith-e-Abdullah bin Umar R.A:

Kisi ne un se Moharrim (jo shakhs halat-e-Ahram mai ho) k baray mai poocha...Sha'Ba ne bayan kiya k meray khayal mai ye poocha tha k agar koi shakhs( Halat-e-Ahram mai )makhi maar de tou kia ussay kaffara dena paray ga?
Is per Abdullah bin Umer R.A ne fermaya Iraq k Log makhi k baray mai sawal kertay hain jab k yahi log Rasool Allah s.a.w k nawasay ko qatal ker chukay hain,jin k baray mai Huzoor s.a.w ne fermaya tha:
"ye donon (Hassan-o-Hussain R.A) DUNNIYA mai meray Do phool hain"

(Hadith # 3753)

(Sahi Bukhari)

(Allah keray k ye ilm La ilm logon tak na pohanchay)