Wednesday, June 15, 2011

Fazail-o-manqabat Hazrat Aisha R.A

Azawaj-e-mutaharraat-e-Rasool s.a.w ko Allah tala ne umhat-ul-momineen ka derja diya.Aur huzoor s.a.w k baad un ki tamam azwaj ko baqi momineen k liye haram qarar de diya.Wo tamam ki tamam yaqeenan bohat hi qabil-e-ehtram hain..laikin aaj thora sa zikr Hazrat Aisha R.A ka ho jaye..
Hazrat Aisha R.A Huzoor s.a.w ki mehboob tareen zoja thin...aur wo wahid kanwari khatoon thin jin se aap s.a.w ne nikkah fermaya.Hazrat Aisha R.A se bohat si ahadees bhi merwi hain..
Aap wo khatoon hain jin ki Bira"at mai Allah tala ne Qur'an ki ayat nazil fermain.....Ye wo khatoon hain jin k liye Allah tala ne Quran mai tumharay Ahl ka lafz istimal kiya.
Huzoor s.a.w k Hazrat Aisha k baray mai chand irshadat derj zeil hain:

Hadith-e- Abu Musa Ash'ari R.A

Huzoor s.a.w ne fermaya:
" merdon mai to bohat se kamil peda huwe ..laikin aurton mai Maryam bint-e-Imran,Firoun ki Biwi Aasiya k siwa aur koi kamil peda nahi huwi.Aur Aisha ki fazeelat aurton per aisi hai..jaisay sareed ki fazeelat tamam khanon per hai."

(Sahi Al bukhari: hadith no.3769)

Hadith-e-Aisha R.A

"Log Huzoor S.A.W ko tohfay bhaijnay k liye Hazrat Aisha R.A ki baari ka intezaar kia kertay thay.Hazrat Aisha R.A kehti hain k meri sab soknein Um-Salma R.A k paas gain.aur un se kaha Allah ki qasam! log jaan boojh ker Apnay tohfay us din bhaijtay hain jis din hazrat Aisha R.A ki baari hoti hai.Hum bhi hazrat Aisha R.a ki terah apna faida chahti hain..is liye tum Huzoor s.a.w se kaho l logon se ferma dein k jis ki bhi baari ho usi k ghar tohfay bhaij diya kerein....Um-salma R.a ne ye baat Huzoor s.a.w k samnay bayan ki ..aap s.awa ne kuch jawab na diya.unhon ne doobara arz kiya..jab bhi jawab na diya...jab teesri baar arz kiya to Huzoor s.a.w ne fermaya:
"aay um-salma !Aisha k baray mai mujhe na satao.Allah ki qasam tum mai se kisi biwi k lihaf mai mujhe per wahi nazil nahi hoti.haan (Aisha ka ye maqam hai )in k lihaf mai wahi nazil hoti hai"

(sahi Al bukhari :hadith no.3775)

Hadith-e-Aisha r.a

Rasool Allah s.a.w ne aik din fermaya :
"aay Aish! ye Jibriel A.S tashreef rakhtay hain aur tumhein salam kehtay hain.mai ne is per jawab diya "wa illaihis -salam wa rematullahi wa barakatuhu,aap s.a.w wo cheez mulahiza fermatay hain jo mujh ko nazer nahi aati."

(sahi-Al Bukhari: hadith no.3768)

Huzoor s.a.w ne apni wafat ki beemari mai bhi sab biwion ki bariyan muqarar ker rakhi thin...aap baar baar hazrat Aisha r.a k hujray mai janay ka din deryaaft kertay...yahan tak k baqi bevion ne apni baari hazrat Aisha r.a ko hiba ker di...Huzoor s.a.w ka wisal hazrat Aisha k hujray mai hi huwa..aur aap ko wahin dafan kia gaya.

Jis khatoon ko Allah k farishtay salam kehtay hon..aur jin ki barai khud huzoor s.a.w ne bayan ki ho jin ki saath hotay huwe huzooer s.a.w per wahi nazil hoti ho....aur jin ki bir'at mai Allah tala Quran ki ayat nazil fermayein un k mertabay mai yaqeenan koi shak baqi nahi rehta..Allah hum sab per apna reham fermaye aur deen ko sahi tor per samajhnay ki toufeeq ata fermaye..aameen..thumma ameen

2 comments:

Gaus E Azam said...

She was the greatest lady of her time. May Allah peace be upon her.

Great work by you, Jazakallahu Khaira

fairy said...

Alhamdulillah-e-Rubbil aalameen...wo sirf apnay waqt hi ki azeem khatoon nahi thin balkay un ka kirdar aur amal rehti dunniya tak aik misal hai